Ooty
Ek pahadi par Saniya khadi thi paas hee uski car khadi thi uske baal hawa mein udd rahe thai vo haath bandhe bas pahadi se niche dekh rahi thi usne white colour ka long top aur denim pehna hua tha
Saniya khud se kehti hai """ Main Saniya ,, meri maa ki ek lauti beti jise kabhi maa baap ka pyar nahi mila ,, jise pyar shabd se nafrat hai ,,meri zindagi ka sabse bada maqsad kamyabi tha
Main Kamyab hu Ek doctor hu jo har din surgeries karti hai ,, ek dialysis unit ko run karti hai ,, mera ek orphanage hai ,, mera ek beta hai jise main apne jaan se zyada chahti hun ,,
Lekin kisi ne mujhe deewano ki tarah chaha tha ,,shayad aaj bhi chahte hai ,, meri khushi meri muskurahat unke liye sabse zyada maine rakhti thi
Main jitni aabad hu usse kahi zyada barbaad hun
Dua hai ki kabhi hamara aamna samna na ho ,, aapki nazron mein nafrat dekhne ki himmat nahi hai mujh mein
Meri zindagi ne mujhe ek pal hasaya toh ek arse tak rulaya hai
Sari umeed chod chuki hun mein
Apni iss khamosh mohabbat ko apne dil mein dafan kar ,, apki zindagi se dur aagayi hun main
Newyork
Arhan apne ek warehouse mein baitha tha vo kisi soch mein duba tha
Arhan Malik ek gangster jo puri delhi par raaj karta tha , har koi jis se dar ta tha ,, uske dil mein kabhi kisi ke liye mohabbat nahi bahut choti umar mein maa baap cheen gaye
Vo ek business man bhi tha ,,,,bas ek ladki uski nazar mein aayi aur aaj uski zindagi yahan hai
Kitni mohabbat nahi ki thi usne usse ,, kitne sapne sajaye thai ,, kya kya nahi socha tha
Vo apni uss buri duniya ko tak chodne ko taiyaar tha uske liye ,, vo bas uska saath chahta ,, har raat ussai apne seene se laga kar sona chahta tha ,, subah uthte hee uska chehra dekhna chahta tha ....
Lekin sab kuch kisi kaanch ki tarah tut kar chakna chur ho gaya
Ek mohabbat ne usai tabah kar diya,, vo puchna chahta tha ki aakhir aisi kya wajah thi jiski wajah se vo usai chod kar chali gayi ,, uska dil todh kar usai thukra kar
Kahan kahan nahi dhunda usne usai ,, har shehar har gali dhunda lekin vo kahin nahi mili ,,, vo bas uski salamati chahta tha
Vo bas yahi sochta rehta hai ki " na jane kaisi hogi vo kahan hogi theek bhi hogi ya nahi khana waqt par khaya hoga ki nahi ,, har raat soyi hogi kya vo ,, kya usne shadi kar li hogi ,, ya phir aaj bhi usse mohabbat karti hogi,, kya ab bhi uska vo gussa waisa hee hoga ,, kya ab bhi khamosh hee hogi ya ab khul kar muskurati hogi
Ye sab soch kar uski aankhein bhar aati aur ek ansu gir jata
Arhan badi shiddat se uss ansu ko poch deta hai
Vo ab samaj chuka tha uske har sawal ka jawab khamoshi hee hai
Jab aap kise se bepanah pyar karte hona toh ego , comparison, ameri gareebi , kisi chiz ka farq nahi padhta
Mohabbat itni khubsurat chiz hoti , jise mil jati hai uske liye kuch aur mayne nahi rakhti jisko nahi milta ta umar barbadi hoti hai
Write a comment ...