Newyork
Arhan vihaan ahana sahil mahi panchon India ke liye nikal chuke thai
Har koi Arhan ke haal se waqif tha lekin jo tufaan Arhan ke dil aur aankhon mein umad raha tha vo shayad hee koi jaan sake
Baat uski behen ki jaan ki thi varna vo mar jata lekin India nahi aata ,,Dil tut jaye sanam chut jaye toh shehar toh dur hum mulk se bhi nikal diye jaate hain vahi haal Arhan ka bhi tha
Kuch ghanton ke safar baad vo log India aa chuke thai
Tamilnadu mein coimbatore ke Airport par flight land hui thi
Sab log chal rahe thai ,, Ahana pregnant thi aur uske brain mein kuch medical issue tha jiski wajah se vo puri tarah murjha chuki thi
Airport se bahar aate hee Arhan ko 2 gadiyan dikhti hai jise uske aadmi laye thai
raj , aur Viraj
Arhan gadi ki key lekar driving seat par baith jata hai viraj uske bagal mein piche mahi aur sahil
Dusri gadi mein raj , vihaan, ahana aa rahe thai
Coimbatore se ooty tak unhe drive kar ke hee jana tha ,,,Abhi subah thi
Waqt kisi ret ki tarah chalne laga tha ,, dekhte hee dekhte sab ooty ki wadiyon mein aa base
Ooty ki hawayein Arhan ko ek alag hee sukoon de rahi
Usai ab chain ki saans aa Rahi thi
Ye saans usai bas ek hee insan ki yaad dila raha tha uski mohabbat ki
Song bg :-
Hmm...
Bekhayali mein bhi tera hi khayal aaye
Kyun bichhadna hai zaroori ye sawaal aaye
Teri nazdeekiyon ki khushi behisaab thi
Hisse mein faasle bhi tere bemisaal aaye
Main jo tumse door hoon
Kyun door main rahoon
Tera guroor hoon
Aa tu faasla mita
Tu khwaab sa mila
Kyun khwaab tod doon
Arhan ke dil mein phir se ye khyal aaya kaash vo usai mil jaye kaash
Bekhayali mein bhi tera hi khayal aaye
Kyun judaai de gaya tu ye sawaal aaye
Thoda sa main khafa ho gaya apne aap se
Thoda sa tujhpe bhi bewajah hi malaal aaye
Hai ye tadpan, hai ye uljhan
Phir ye khyal usai jeene nahi de raha tha ki vo usai dhoka de kar gayi thi
Kaise jee loon bina tere
Meri ab sab se hai ann ban
Bante kyun ye Khuda mere
Hmm...
Arhan ko apna ateet phir yaad aa gaya vo kitna khush tha uski mehbooba ke sunehre ghungrale baal ,, uski dark brown eyes,,uska vo gussa , uski chid ,, kitna khush rehte thai vo
Ye jo log baag hain
Jungle ki aag hain
Kyun aag mein jalun
Ye nakaam pyaar mein
Khush hai yeh haar mein
Inn jaisa kyun banun
Raatein dengi bata
Vo unn aashiqon mein se nahi tha jo mehboob ke dhoka dene par usai ruswa karde ,, uske liye uski mehbooba ki izzat sab se upar thi
Neendon mein teri hi baat hai
Bhoolun kaise tujhe
Tu toh khayalon mein saath hai
Bekhayali mein bhi tera hi khayal aaye
Kyun bichhadna hai zaroori ye sawaal aaye
Nazar gira de har ik manzar
Ret ki tarah bikhar raha hai
Dard tumhara badan mein mere
Zeher ki tarah utar raha hai
Nazar gira de har ik manzar
Ret ki tarah bikhar raha hai
Dard tumhara badan mein mere
Zeher ki tarah utar raha hai
Aa zamaane aazma le roothta nahi
Faaslon se hosla ye tootta nahi
Naa hai woh bewafa, aur na main hoon bewafa
Woh meri aadaton ki tarah chhootta nahi
Sham dhalne lagi thi andhera chahne laga tha
Sab log arhan ke farmhouse mein aa chuke thai,, sab apne apne kamre ki taraf chale gaye
Ahana vihan se kehti hai " vihan agar mera ilaj nahi ho paya toh , humein bache ki khushi 3 saal baad mili hai agar kuch galat ho gaya toh
Main nahi jee paongi vihan , mujhse bhai ki halat bhi nahi dekhi jati
God please sab kuch sahi kar do hum bas thak gaye hai
Sahil apne kamre ki balcony mein baitha Arhan aur mahi ke bare mei soch raha tha ,, vo khud se kehta hai "" mahi arhan se pyar karti aur arhan......khair arhan aur mujhe hamari mohabbat na mili , mahi ko toh milni chahiye
Main kal Arhan aur mahi ki shadi ki baat vihan se karta hun ,,, shadi ke baad arhan ke bhi dil mein mahi apni jagah bana hee legi
Aisi dosti kya jo apne dost ke liye kuch kurban na kare
Kaash tum arhan ko chod kar nahi jati toh aaj sab kuch sahi hota ,, nafrat hone lagi hai tumse behen samajta tha tumhe ,,but kash tum kahi se aa jao arhan ko tumhari zarurat hai tumhare alawa uski zindagi mein koi nahi aa sakta
Mahi ke kamre mein
Arhan tumhari mohabbat uske liye dekh kar mujhe samaj aa raha hai main chahe kitni bhi koshish kar lun tumhare dil mein apni jagah bana nahi sakti
Arhan ke room
Safar ki thakawat aur apni mehbooba ki yaadon ke tufan se vo neend mein jaa chuka tha
Villa ,,,,Saniya ka room
Saniya ne roz ki tarah neend ki dawai le li thi usai neend nahi aati thi ,, vo aakar bed par arman ko apne seene se laga kar aankhein band kar leti hai
Usai aaj poore din ek ajeeb si bechaini ho rahi thi ek dar sa tha uske dil mein.......
Thank you so much
Comment & follow
I guess mujhe batane ki zarurat nahi hai ki arhan ki mehbooba kaun hai
Write a comment ...